"निज भाषा उन्नति अहै, सब उन्नति को मूल।
बिन निज भाषा-ज्ञान के, मिटत न हिय को सूल।।"

Waqt Jeena Sikha Deta Hai...

{[['']]}

Waqt Jeena Sikha Deta Hai...
Zindagi Mein Jeene Ke Naye Naye Tarike Sikha Deta Hai,
.
Kismat Ko Zindagi Ki Parchai Bana Deta Hai,
Jo Pal Jeene Ko Socha Bhi Na Ho Hamne...
.. Un Palo Ko Jeene Ka Maksad Bana Deta Hai,
Waqt Jeena Sikha Deta Hai...
.
Matlabi Duniya Me.. Kadam Rakhna Sikha Deta Hai...
Usi Duniya Ki Bheed Me Chalna To Theek...
..Dagmagate Kadmo Se Sambhalna Sikha Deta Hai,
Har Mod Par Badalna Sikha Deta Hai,
Jarurat Ke Saath... Dhalna Sikha Deta Hai,
Waqt Jeena Sikha Deta Hai...
.
Kisi Ko Kisi Ke Liye ... Intzaar Karna Sikha Deta Hai...
To Kabhi Kisi Ke Liye Jhagra Karna Sikha Deta Hai,
..... Khushi Me To Theek...
Gam Me Bhi Muskurana Sikha Deta Hai,
Roothna-Manana.... Ehsaan Jaatana Sikha Deta Hai,
Waqt Jeena Sikha Deta Hai...
.
Aasmaano Par Rehne Waalo Ko ...
... Zameen Par Gira Deta Hai,
Ek Pal Mein Taqdeer Bana Kar....  Bigaar Deta Hai,
Jo Ho Sake Na... Aisa Karke... Dikha Deta Hai,
... Aur
Waqt Jeena Sikha Deta Hai...
Waqt Jeena Sikha Deta Hai........!!!

By:- Peetamber Shambhoo

About Admin:

मैं, पीताम्बर शम्भू, आप सभी के समक्ष अपने लेख व विचारों को पेश करते हुए… हाल-फिलहाल के हालातों का ब्यौरा रखने की भी कोशिश कर रहा हूँ। अगर पसंद आये तो जरूर पढियेगा। . . धन्यवाद…।।

Post a Comment